Kya ap janti Rohani Silsila Qadri kya hai? This video the beautiful Islamic video Another good informative video about Rohani Silsila Qadri. Rohaniyat ke andar jo rohani silsila qadri hai is faiz yab hai Hazoor Ghous pak se. Aur jo bhi Ghous e Azam se faiz yab hai wo nayab hai. Rohani silsila jo hai wo ek andaze ke mutabiq 200 ke qareb rohani silsila hain. Jaisa ke Naqshbandi Silsila, Soharwardi Silsila, Chishti Silsila aisae 200 silsila hain. #RohaniSilsila #FikarEIqbal #AdvZuhaibHafeez
Rohani Silsila Qadri Explanation By Adv Zuhaib Hafeez
Rohani silsila qadri kya hai? Asal mein rohani silsila ki base hai apne dil ki dharkanon se Allah ka zikr karo, Zikr e qalbi karo. Aise hi rohani silsila kam se kam 200 ke qareb hain. Rohani silsila qardi ke ilawa jo dosre rahani silsila hain wo base karte hain, Ap ki rohaniyat ko ujagar karne main, Ap ko wazaif dene mein, Ap ko chilay aur mushakat karwane mein, Bakhshish karwane mein aur Jannat hasil karwane mein. Lakin jo rohani qadri silsila hai, Ye in tamam chezon se beniyaz aur qurb e khudawandi ka ya Allah ki zaat ke rohbaro yani Allah ki zaat ke samne jane ka. Aur jitne bhi silsila hai ye maqam aur martabah dete hain aur Rohani duty dete hain. Lakin ye qadri silsila jo hai na ye rohani duty deta hai aur na hi ap ko koi shohrat deta hai. Rohani qadri silsila sirf Allah se ishq sekhta hai. Ab kafi rohani silsila hain un mein kafi wazaif kiye jate hain, Wazaif kiun kiye jate hain? Wazaif qalb ko bedar karne ke liye kiye jate hain. Ab jaise Soharwardi Silsila wale ya kuch aur silsila wale nhi “Ya Wadood” ka zikr karte rehte hain. “Ya Wadood” ka zikr kar, kar ke qalb ko bedar karne ki koshish karte hain. Aur wo bhi kafi salon ke bad ja ke hota hai aur aksar nahi bhi hota. Aur Jo Chishti Silsila hai ye darood sharif parhte hain, Darood sharif ke zarye se hi qalb ko bedar karne ki koshish karte hain. Ya kuch aur wird wazaif karte hain ke kisi bhi tarhan ap ke andar ki makhloq zinda ho jay. Aksar ap dekhein jo dosre silsila ke bazurg hain un ko bhi kafi salon ke bad ja ke zikr e qalb mila hai. Baba Farid pakpatan sharif wale 37 sal ke bad ja ke zikr e qalb mila, Bayazid Bastami ra 12 sal ke bad ja ke zikr e qalb mila. Aur jo qadri silsila hai is ko sirf 7 din ke andar andar zikr e qalb milta hai. Qadri silsila mein hi itna jaldi kiun milta hai, is kya waja hai? Kiun ke baqi jo bhi rohani silsila hain un mein sifati noor hai. Lakin qadri silsila mein Allah ka zaati noor hai. Aur Hazrat Sakhi Sultan Bahu RA farmate hain: Jaise hi wo apne qalb ke opar tasawor karta hai Rab ke zaati naam ka to qalb zinda ho jata hai. Kiun ke is ke andar itni taqat hai Rab ke zaati naam mein ke ye andar ki makhloqon ko zinda kar deta hai. Aur ap ko Allah ka dedaar karwa deta hai. Aur qabi jitne bhi rohani silsila hain un mein rohaniyat hai peeri bhi hai faqeeri bhi hai lakin ishq nahi hain. Qadri silsila wo silsila hai sab ki manzil ki intaha kya ho jati hai jab chilay mujahiday karne ke bad intaha kya hoti hai zikr e qalb. Aur Rohani silsila qadri kya hai? Qadri silsila mein ibtada zikr e qalb aur intaha dedaar e ilahi hai.
More Related Videos Vist For
Tweets by fikar_iqbal
https://www.facebook.com/Advocate-Zuhaib-Hafeez-218700805689062
Imam Mahdi Ka Lashkar!!!
Alien Reality – Alien Haqeeqat Ya Afsana!!!
Zikr Allah Ka Tarika