Kya Silsila Qadri Kisi Aur Silsila Se Faiz Hasil Kar Sakta Hai?!!!

0

Kya silsila qadri kisi aur silsila se faiz hasil kar sakta hai? This video the beautiful Islamic video Another good informative video about, kya silsila qadri kisi aur silsila se faiz hasil kar sakta hai. Aik dost ne sawal kiya hai ke jo qadri silsila se ho kya wo kisi aur silsila se faiz hasil kar sakta hai. Us ke sawal ka maqsad ye hai ke kiya qadri silsila wala shakhs kisi aur silsila yani jaise ke Naqshbandi Silsila Ya phir Soharwardi Silsila hai aise 200 silsila hain. Kya qadri silsila wala in mein se kisi silsila se faiz hasil kar sakta hai. #SilsilaQadri #FikarEIqbal #AdvZuhaibHafeez

Kya Silsila Qadri Kisi Aur Silsila Se Faiz Hasil Kar Sakta Hai? Explanation By Adv Zuhaib Hafeez

Ap ne aksar dekha ho ga bord lagay hote hain ke je ye qadri silsila se bhi faiz rakhte hain. Naqshbandi Silsila se bhi faiz rakhte hain aur Soharwardi Silsila se bhi faiz rakhte hain aur bhi kafi silsila se faiz rakhte hain. In ko je tamam silsila ka faiz hai aksar yehi kaha jata hai. Sultan ul Ashqeen Sultan ul Arfeen Sakhi Sultan Bahu rehmatullah alaih farmate hain: Jis ko Qadri silsila se faiz ho gay hai us ko kisi bhi aur silsila ki zarorat aur hajat nahi hoti. Aik aur jagah farmaya ke jothay bande ki nishani yehi hai ke wo kehta hai ke main saray silsila se faiz rakhta hon. it’s means ke Silsila Qadri se bhi Naqshbandi Silsila aur Soharwardi Silsila aur bhi silsila se bait bhi rakhta hon aur faiz bhi. Sakhi Sultan Bahu rehmatullah alaih aik aur jagah farmate hain: Jis ko Qadri Silsila se faiz ho gaya aur agar us ne kisi aur silsila mein ja ke faiz lene ki koshish ki to wo murtadd ho jata hai mardood ho jata hai, aur Allah ki bargah se radd kar diya jata hai. Sakhi Sultan Bahu rehmatullah alaih aik aur jagah farmate hain: ke Qadri soraj hai, baqi silasil charagh hain, aur charagh ki kya majal ke soraj ke samne dam maray. Qadri Silsila mein Allah ke dedaar ki taleem di jati hai. Qadri Silsila mein Allah ke ishq ki taleem di jati hai. Baqi tamam silsila mein Zikr e Qalb ki, Rohaniyat ki, Sufism, Spirituality, ki maqam, martabay ki jannat ki aur bakhshish ki taleem ki jati hai. Aur Silsila Qadri wala in sab se wara ul warah hota hai. Aur Qadri Silsila wale ko Allah ke dedaar aur Allah ke ishq ki taleem di jati hai. Faqeer Noor Muhammad Kulachi farmate hain: ke jab Silsila qadri wala parwaz karta hai Rohani tour par aur dosre Silasil wale bazurg jo hain wo sab sahm jate hain, Us ki parwaz se. Aik bat Yad rahe ke Jo Silsila Qadri hai ye sab ko faiz de sakta hai Lakin qadri ko koi faiz nahi de sakta. Kyun ke Qadri Silsila Hazoor Ghous Pak se hai, aur ye silsila barah e rast Hazoor Pak Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke seena mubarak se hai. Jis ko dedaar ki taleem ho gai, jis ko ishq ki taleem ho gai, to usay dosre silsila se ya rohaniyat se ya kisi aur maqam aur martabay se kiya gharz ho gi. Aur Silsila Qadri ki jo ibtada ki stage hai, wo Zikr e Qlab hai, Aur dosre silsila mein end jo hota hai wo zikr e qalb hota hai, baqi aur ibadat aur chilay sikhay jate hain. Aur Sakhi Sultan Bahu rehmatullah alaih kya farmate hain? ke Silsila Qadri wala acha libas pehnta hai dil mein zikr e qalb rakhta hai aur asani ke sath tamam jahanon ko abor kar jata hai, Ye hai Qadir silsila. To Silsila Qadri se faiz hasil karne ke liye pehle shoro se hi ap dil ke opar lafz Allah goldan color ka tasawur karein. Aur dil ki dharkanon ke sath hi aik tik ke sath “Allah” aur dosri tik ke sath “Hoo” milain. Allah hoo, Allah hoo, Allah hoo.

More Related Videos Vist For


https://www.facebook.com/Advocate-Zuhaib-Hafeez-218700805689062
Imam Mahdi Ka Lashkar!!!

Alien Reality – Alien Haqeeqat Ya Afsana!!!

Zikr Allah Ka Tarika

Leave A Reply